Arabi mein kozalhilo, Farsi mein badame shirin, Hindi mein badam mitha, Bengali mein kath badam mushti.
Bhigokar
chilka utra huwa badam motadil tar sukhan,karam tar badam qadray qabiz
hai charbi aur khoon paida karta hai. dhat ko garha karta hai.
khushk,khansi aur asab ko mufid hai. zaban ki liknat kodoor karta hai
dimagh aur ankhon kay wastay nayab cheez hai.
Makhan aur misri
kay sath badam mila kar khanay say badan mota hota hai quwate hafiza
barhti hai. krwa badam khoon mein fasad paitda karta hai. badam roghan
madah o dimagh, jigar aur azai raeesa ko taqat daita hai. qabz kusha
hai. garmi ko door karta hai.. purani qabz ko theek karta hai. miqdar 1
tola aam tor par doodh mein milakar pya jata hai.
Badam maghoor
am mewa hai. rang bahar say safaid surkhi mael maghaz safaid, zaiqa
shirin-o-khush zaiqa, mizaj garam tar darja 1, nizd baz motadil ,miqdar
khurak,maghaz badar 7 adad say 11 adad tak. Roghan badam 3 masha say 1
tola tak, maqame paidaish Kashmir, iran,Afghanistan muslah,
mastagi,nibat safaid, afal-o -istemal.
Muqawi-o-maratab
dimagh,milin sitkam,milain sadar,manom aur jali hai. basarat ko faida
daita hai. sina aur tabiyat ko naram karta hai. mani bhi paida karta
hai. badan ko farba karta hai. khushk khansi aur masana ki kharash ko
nafah karta hai.
Is kay sakhta chilkay ka manjan danton ko saf
aur mazboot karta hai is say roghan bhi nikala jata hai jis ko taqwiyat
dimagh kay liye sar par lagatay hain aur rafah qabz daimi kay liye doodh
mein shamil karkay rat ko sotay waqt pilatay hain. Agar hamla aurat
satwin mahinay say chamcha khurd bhar rat ko sotay waqt pina shurooh
karday to bachay kipaidaish mein sahulat hoti ha
Badam Karwa
Maghoore aam mewa
hai karwa badam shakal mein shirin badam kay mushabay hota hai lain yeh
is ki nisbat kisi qadar chota aur chora hota hai rang bahar say safaid
surkhi mael,maghaz safaid,zaiqa falgh aur nawagar, mizaj garam darja
3,miqdar khurak ,andruni tor par hargfiz istemal na karain. Afal o
istemal,jali mehlul hai ziyadah tar chahray kay rang ko nikharnay aur
jhayan door karnay kay liye zamad istemal kartay hain.
Dard kan
,kan bajna aur garam gosh kay liye batore qatur mufid hai. andruni tor
par hargiz istemal na karain. Is ka farzaja madar haiz, juwon ko marnay
kay liye isay sar par lagatay hain.talgh badamon mein parask acid paya
jata hai j okay zehre qail hai.
Badam kay maghz kay sat danay
peec lain. Thori si chini milakar subha o sham khain. Chand din mein
balghi khansi ka khatema hojata hai.
Kasrate mehnat dimagh, kami
khoon,kasrat jamah,zafe qalb waghairah say dimagh kamzor hojata hai. sar
kay pichlay hissay mein dard rehta hai. nazar kamzor hojati hai hafiza
kharab hotaja hai.
Zail ka nuskha daikhnay mein khowah mamooli
maloom day ga laikin aik ajeeb aksir hai. mutawatir 21 din kay ba parhez
istemal zafe dimagh ki shikayat door hojati hai . aik khurak bawaqte
subha khalainay say tabiyat tamam din masroor rehti hai.
Maghaze badam sat adad, ilaichi khud char adad,choharah umda aik misri 5 tola,makhan gai 5 tola.
Tarkib
Maghaz badam-o-choharay ko rat kay waqt matti kay koray bartan mein pani dal kar bhigodain.
Subha
badamon ko chel lain aur chuharah ki ghutli ko door karain. Ilaichi kay
danay ko nikal lain aur khoob peec lain phir misri mila kar baarik
karain akhir mein makhan lagain aur nosh farmain.
Pani mein bhigo
kar cheelay huway badam das adad lay kar khoob barik koot lain aur josh
khatay huway adh sair doodh mein miladain jab who tin josh ajain to
doodh aag say utar kar thanda karain. Jab pinay kay laiq hojai to misri
yak hand milalain. Lakin shahad milanay say ziyadah muqavi ban jaiga.
Yeh
doodh nihayat hi khush zaiqa aur muqavi hota hai. sirf dimgh aur bah hi
ko taqat nehin daita balka tamam jisam ki parwarish kartay hai.
Maghaz badam sat qdad , sonf chay masha,misri chay masha.
Sonf
aur misri ko safoof banalain aur maghaz badam ko cheel kar aur nim kob
karkay shamil karain. Rat ko sotay waqt garam doodh say istemal karliya
karain. Magar is kay bad pani hargiz na piya karain.
Itni miqdar
mein challis roz mutawatir istemal kartay rahain is say nazar is qadar
tez hojati hai kay ainak ki zaroorat bari nahin rehti aur dimagh ki
kamzori door hojati hai.
Yeh dawa aik mah istemal karnay say thathlapan sahrtiya door hojata hai.
Kamzori,nataqatia
aur ziyadti paishab mein aksir ka hukam rakhti hai jo bahay choti umar
mein talafuz ko theek tor par ada nahin karsaktay in kay liye behtarin
cheez hai. niskha yeh hai.
Maghaz badam chilay huway 5 tola,waraq
chandi aik tola,dar chini aik tola,magha p ista 2 tola,aksir 6 masha,
shahad 15 tolay,sab adwiyat ko barik peec kar shahad mein bakhubo
milalain. Khurak 4 masha say 6 masha hamrah doodh istemal karain.
Agar
aap chahtay hain kay garmi kay mosam mein bhi jisam mein khoob taqat
paida ho aur aap ka chehra kabli pathanon ki terha surkh hojai aur jisam
mota tazah aur tandrust ho to aap yeh sadah nuskha apnay tamam kunbay
ko istemal karain.
Maghaz badam chilay huway do tola,mahaz kharbuzah
dor tola,maghaz kheer 2 tola,maghaz kakri do tola,maghar tarbuzz do
tola,munaqa ya kishmish das tola,maghaz sonf do tola.
Yeh sab
cheezain nihayat saf suthri lay kar aur kondi mein danday kay sath is
qadar barik ragrain kay surma bhi ziyadah barik hojain tab in ko khulay
mun kay shishay ki botal mein bharlain. Har subha 4 tola yah dawa lay
kar aur is mein thora thora pani mila kar khoob achi terha kundi danday
say ragrain yahan tak kay pani ka rang doodh jaisay hojai phir is mein
thora sa rooh kiwra milakar aik glass pi liya karain. Yeh aik glas ka
nuskha hai.
Ghar kay jitney admi hon har aik kay liye char tola
dawa aur aik glass pani kay hisab say har roz khoob ragar kar sab ko
piladiya karain is kay istemal say qabz bhi door hojaigi.
Bhook
bhi khoob lagay gi jisam mein chusti rahay gi aur piyar bhi nahin
sataigi. Aur meyadi bukhar ka bhi khatrah nahin rahay ga jo sahib doodh
milana fhahain wo zaroor is mein doodh shamil karliya karain.
Mandarja
bala dawa ziyadah say ziyadah miqdar mein istemal karnay say bhi kuch
nuqsan nahin balkay faida hi hai is liye is nuskhay ko aap din mein kaee
bar bhi istemal karsaktay hain. Lemon soda ki nisbat yeh hazar hissa
behtar cheezain hain. Mafrah qalab hain.
Sozishe Jigar
Maghaz
badam chilay huway das adad,ilaichi khurd das adad, badiyan 2
masha,munaqa 5 adad, jumla adwiyat ko pani ya munasib araqiyat mein
ghont kar shirah nikalin. Misri izafa karkay din mein do ya tin bar p
liana muqawi dil aur dimagh hai.
Piyas ko taskin daita hai. madah aur sozish kay liya moasir aur bay had mufid hai.
Yarqan
ka marz jigar mein ziyadah safra paida hokar khoon ki rangat ko zard
kardaita hai mariz ki ankhain aur paishab bilkul zard hojata hai balkay
marz kay dairina hojanay par nakhun aur tamam badan par bhi zardi ajati
hai is liya badam nihayat mufid hai.
Baz hakeem log yarqan mein
chiknaee manah kartay hain. Magar mandarja zail tariqa say badam maray
tajarbay mein bay had mufid sabit hochukay hain.
Mahaz badam 8
adad,choti ilaichi 5 adad,chuharay do adad, in k ort kay waqt matti kay
kuray gharay mein tamam rat para rehnay dain. Subha ko nikal kar
chuharon ki ghutli aur maghaz badam o ilaichi kay chilkay door karkay
kundi mein khoob ghotain aur phir misri panch tola mila dain. Phir akhir
mein gai ka 5 tola makhan mila kar mariz ko chata dain. Bas tisray din
hi saf paishab saf hojaiga.
Raqimul h aruf aik martaba khud is
marz mein mubtala huwa to kaee aik umdah adwiyat kay kargar na honay kay
ba badamon ko is tariqay par istemal karnay say sehat huee thi.