My Blog List

Sunday, October 7, 2012

Arrowroot Benefits



 

Aik qisam ki aam sabzi hai jo alu ki terha zamin kay ander hoti hai. pattay baray baray chiknay, rang bhura, zaira phika halaq mein kharash karnewala, mizaj garam,pehlay darja mein,tar doosray darjay mein baz kay nazdik sard tar, miqdar khurak baqadre hazam, maslah, dar chini, long, limon, afal-o-istemal, moldo mughalaz mani hai bah ko harkat daiti hai.

Badan farba aur taqat war banati hai. lazojant ki wajah say khansi,khushki,sina narkharah ki khar kharahat ko rafah karti hai. chilka is ka ishal kay liye mufid hai aur bol ka liye is kay patta ya nichor hawa pani bohot mufid hai. is ko tanha ya gosht kay hamrah paka kar is mein limon nichor kar istemal kiya jata hai.

Dair hazam hai. pait mein nafakh o riyah paida karti hai. mani ko paisha aur garha karti hai. wazan ko barhati hai. arvi ka sath zera,ajwain,kali mirach aur anar dana istemal karnay say yeh laziz aur zud hazam ban jati hai.

NOTE: is ki ratubat mukhrish hai,pani mein bar bar dhonay say kharsh aur jazu kamzor hojata hai.

Arvi aik lacedsar aur pasandidah sabzi hai jo jar ki sabzi hai hamaray han arvi khaee jati h ai aur is kay pattay phaink diya jatay hain.balkay deegar mumalik mein jahan arvi aam hai arvi ka sath pattay bhi tal kar khai jatay hain jo mazedar aur faida mand hotay hain. Yeh mosam barsat ki sabzi hai.

Nishasta aur vitamin C is kay ajza hain aur is ka mizaj satar-o-tar hai. Baz hakim motadil likhtay hain.

Magar jab isay alag pakaya jai yani sada halat mein  paki huee arvi srdi ki janib raghbat rakhti hai laikin agar isay gosht kay hamrah rvi gosht ki soorat mein salan bana kar pakaya jai to is ka mizaj motadil hojata hai.
Arvi ko bator salan istemal kartay rehnay say insane farba hojata hai.

Aurat jo arvi ka istemal karti hai agar woh man hai to is ka doodh barhta hai. arvi blood pressure ko khatam karnay ka kamiyab tarin zariye hai. arvi amrazi   jild ko faida daiti hai aur jil ki khushki aur shikanain door karnay mein moawin hai.

Paishab aur masanay kay amraz ko khatam karnay kay liye bator salan arvi ka istemal bay had sud mand hai.
Arvi pakanay ka tariqa yeh hona chahiye kay isay cheel kar namak lagakar rakh dain.
Is ka pani nikal jai to isay dholain aura lag handiya mein masalah waghairah laga kar bhoon lain is ka shorba bana kar khana durust najhin kiyunkay shorba bana kar khanay say in amraz mein yeh faida mand nahin rehti is mein dar chini aur log zaroor dalna chahiye.

Arvi ka istemal mosame barsat mein ziyadah karna chahiye.
Arvi anton ki khushki door  karkay in mein tari paida karti hai.
Arvi sinay ki khushki ko bhi door karnay ka azmuda nuskha hai.
Arvi kay hamrah pakatay waqt garam masalah ka istemal lazmi cheez hai. agar aap garam masalah istemal na karain gay to yeh sudday paida karay gi.. yeh balgham paida karti hai.
Arrowroot Benefits In Urdu
Dair hazam hai aur pait mein isay khanay say reh paida hoti hai. woh log pait kay amraz,reh kay marz,khansi ya ganthiya kay mariz hain wo arvi har giz istemal na karain.
Aisay logon ko alu aur kachalu khanay say bhi parhaiz lazim hai. woh log arvi istemal na karain jodaimi qabz kay mariz h ain. Kali mirach, ajwain, zeerah aur anar dana kay hamrah istemal say zud hazam hojati hai.

No comments:

Post a Comment