My Blog List

Thursday, October 11, 2012

Mutton paye:

Mutton paye



Mutton paye:


Ingredients
Mutton trotters 6 
Brown onion ½ cup
Ginger garlic paste 1 tbsp heaped

Salt 2 tsp
Turmeric ½ tsp
Ginger sliced 2 tbsp
Tomatoes 2 blended and sieved
Coriander powder 3 tsp
Chili powder 2 tsp heaped
All spice ½ tsp
Yogurt ½ cup
Whole spices 1 tbsp
Oil ½ cup
Coriander leaves chopped 2 tbsp
Green chilies chopped 2
Lemon juice as required

Tuesday, October 9, 2012

Fry Qeema:

Fry Qeema:

Ingredients

Beef mince ½ kg
Onion (chopped) 1 cup
Ginger garlic paste 1 .½ tbsp
Chili powder 2 ½ tsp
Turmeric ½ tsp
Salt 1½ tsp
Cumin (crushed) 1 tsp
Coriander seed (crushed) 1 tbsp
All spice powder 1 tsp
Tomatoes 3 chop
Coriander leaves (chopped) 4 tbsp
Green chilies (chopped) 4
Ginger (sliced) 1 tbsp
Oil ½ cup






Mutton patties:



Ingredients for filling
Fried mince meat 1 cup

Method 
1. Roll out the dough 1/8 inch thick, cut into 3 inch square pieces, brush the sides with beaten eggs and fill with the fried mince meat in the centre
2. Shape into a triangle or length wise
3. Place on tray, brush with beaten egg, bake on 225 degree C for 20 minutes.
Puff pastry


Ingredients
Flour ½ kg
Master puff 400-500 gm
Salt 1 tsp
Water to knead dough



Method
1. Sieve flour, make a hollow in the centre, put salt and knead with water to medium soft dough.
2. Keep aside for 30 minutes, divide the dough into 2 portions, sprinkle flour on the working table.
3. Roll out 1 dough to a medium size rectangle, take unipuff, cut into half ounce piece, put in a line, turn the side on the unipuff, press a little with rolling pin so it levels
4. Roll it along the side, sprinkle flour on table, roll in the medium size rectangular and give 3 folds, first halfway, then over top of each other
5. Allow it to rest for 15 minutes, take out dough, roll again to a medium rectangle, give three folds, do this procedure for 3 to 4 times, from the prepared dough cut half dough and roll to a medium size to make patties

or you can also try :
French heart:

Sunday, October 7, 2012

Arrowroot Benefits



 

Aik qisam ki aam sabzi hai jo alu ki terha zamin kay ander hoti hai. pattay baray baray chiknay, rang bhura, zaira phika halaq mein kharash karnewala, mizaj garam,pehlay darja mein,tar doosray darjay mein baz kay nazdik sard tar, miqdar khurak baqadre hazam, maslah, dar chini, long, limon, afal-o-istemal, moldo mughalaz mani hai bah ko harkat daiti hai.

Badan farba aur taqat war banati hai. lazojant ki wajah say khansi,khushki,sina narkharah ki khar kharahat ko rafah karti hai. chilka is ka ishal kay liye mufid hai aur bol ka liye is kay patta ya nichor hawa pani bohot mufid hai. is ko tanha ya gosht kay hamrah paka kar is mein limon nichor kar istemal kiya jata hai.

Dair hazam hai. pait mein nafakh o riyah paida karti hai. mani ko paisha aur garha karti hai. wazan ko barhati hai. arvi ka sath zera,ajwain,kali mirach aur anar dana istemal karnay say yeh laziz aur zud hazam ban jati hai.

NOTE: is ki ratubat mukhrish hai,pani mein bar bar dhonay say kharsh aur jazu kamzor hojata hai.

Arvi aik lacedsar aur pasandidah sabzi hai jo jar ki sabzi hai hamaray han arvi khaee jati h ai aur is kay pattay phaink diya jatay hain.balkay deegar mumalik mein jahan arvi aam hai arvi ka sath pattay bhi tal kar khai jatay hain jo mazedar aur faida mand hotay hain. Yeh mosam barsat ki sabzi hai.

Nishasta aur vitamin C is kay ajza hain aur is ka mizaj satar-o-tar hai. Baz hakim motadil likhtay hain.

Magar jab isay alag pakaya jai yani sada halat mein  paki huee arvi srdi ki janib raghbat rakhti hai laikin agar isay gosht kay hamrah rvi gosht ki soorat mein salan bana kar pakaya jai to is ka mizaj motadil hojata hai.
Arvi ko bator salan istemal kartay rehnay say insane farba hojata hai.

Aurat jo arvi ka istemal karti hai agar woh man hai to is ka doodh barhta hai. arvi blood pressure ko khatam karnay ka kamiyab tarin zariye hai. arvi amrazi   jild ko faida daiti hai aur jil ki khushki aur shikanain door karnay mein moawin hai.

Paishab aur masanay kay amraz ko khatam karnay kay liye bator salan arvi ka istemal bay had sud mand hai.
Arvi pakanay ka tariqa yeh hona chahiye kay isay cheel kar namak lagakar rakh dain.
Is ka pani nikal jai to isay dholain aura lag handiya mein masalah waghairah laga kar bhoon lain is ka shorba bana kar khana durust najhin kiyunkay shorba bana kar khanay say in amraz mein yeh faida mand nahin rehti is mein dar chini aur log zaroor dalna chahiye.

Arvi ka istemal mosame barsat mein ziyadah karna chahiye.
Arvi anton ki khushki door  karkay in mein tari paida karti hai.
Arvi sinay ki khushki ko bhi door karnay ka azmuda nuskha hai.
Arvi kay hamrah pakatay waqt garam masalah ka istemal lazmi cheez hai. agar aap garam masalah istemal na karain gay to yeh sudday paida karay gi.. yeh balgham paida karti hai.
Arrowroot Benefits In Urdu
Dair hazam hai aur pait mein isay khanay say reh paida hoti hai. woh log pait kay amraz,reh kay marz,khansi ya ganthiya kay mariz hain wo arvi har giz istemal na karain.
Aisay logon ko alu aur kachalu khanay say bhi parhaiz lazim hai. woh log arvi istemal na karain jodaimi qabz kay mariz h ain. Kali mirach, ajwain, zeerah aur anar dana kay hamrah istemal say zud hazam hojati hai.

Almonds Benefits

Arabi mein kozalhilo, Farsi mein badame shirin, Hindi mein badam mitha, Bengali  mein kath badam mushti.

Bhigokar chilka utra huwa badam motadil tar sukhan,karam tar badam qadray qabiz hai charbi aur khoon paida karta hai. dhat ko garha karta hai. khushk,khansi aur asab ko mufid hai. zaban ki liknat kodoor karta hai dimagh aur ankhon kay wastay nayab cheez hai.

Makhan aur misri kay sath badam mila kar khanay say badan mota hota hai quwate hafiza barhti hai. krwa badam khoon mein fasad paitda karta hai. badam roghan madah o dimagh, jigar aur azai raeesa ko taqat daita hai. qabz kusha hai. garmi ko door karta hai.. purani qabz ko theek karta hai. miqdar 1 tola aam tor par doodh mein milakar pya jata hai.

Badam maghoor am mewa hai. rang bahar say safaid surkhi mael maghaz safaid, zaiqa shirin-o-khush zaiqa, mizaj garam tar darja 1, nizd baz motadil ,miqdar khurak,maghaz badar 7 adad say 11 adad tak. Roghan badam 3 masha say 1 tola tak, maqame paidaish Kashmir, iran,Afghanistan muslah, mastagi,nibat safaid, afal-o -istemal.

Muqawi-o-maratab dimagh,milin sitkam,milain sadar,manom aur jali hai. basarat ko faida daita hai. sina aur tabiyat ko naram karta hai. mani bhi paida karta hai. badan ko farba karta hai. khushk khansi aur masana ki kharash ko nafah karta hai.
Is kay sakhta chilkay ka manjan danton ko saf aur mazboot karta hai is say roghan bhi nikala jata hai jis ko taqwiyat dimagh kay liye sar par lagatay hain aur rafah qabz daimi kay liye doodh mein shamil karkay rat ko sotay waqt pilatay hain. Agar hamla aurat satwin mahinay say chamcha khurd bhar rat ko sotay waqt pina shurooh karday to bachay kipaidaish mein sahulat hoti ha
Badam Karwa
Maghoore aam mewa hai karwa badam shakal mein shirin badam kay mushabay hota hai lain yeh is ki nisbat kisi qadar chota aur chora hota hai rang bahar say safaid surkhi mael,maghaz safaid,zaiqa falgh aur nawagar, mizaj garam darja 3,miqdar khurak ,andruni tor par hargfiz istemal na karain. Afal o istemal,jali mehlul hai ziyadah tar chahray kay rang ko nikharnay aur jhayan door karnay kay liye zamad istemal kartay hain.

Dard kan ,kan bajna aur garam gosh kay liye batore qatur mufid hai. andruni tor par hargiz istemal na karain. Is ka farzaja madar haiz, juwon ko marnay kay liye isay sar par lagatay hain.talgh badamon mein parask acid paya jata hai j okay zehre qail hai.

Badam kay maghz kay sat danay peec lain. Thori si chini milakar subha o sham khain. Chand din mein balghi khansi ka khatema hojata hai.

Kasrate mehnat dimagh, kami khoon,kasrat jamah,zafe qalb waghairah say dimagh kamzor hojata hai. sar kay pichlay hissay mein dard rehta hai. nazar kamzor hojati hai hafiza kharab hotaja hai.

Zail ka nuskha daikhnay mein khowah mamooli maloom day ga laikin aik ajeeb aksir hai. mutawatir 21 din kay ba parhez istemal zafe dimagh ki shikayat door hojati hai . aik khurak bawaqte subha khalainay say tabiyat tamam din masroor rehti hai.

Maghaze badam sat adad, ilaichi khud char adad,choharah umda aik misri 5 tola,makhan gai 5 tola.

Tarkib
Maghaz badam-o-choharay ko rat kay waqt matti kay koray bartan mein pani dal kar bhigodain.
Subha badamon ko chel lain aur chuharah ki ghutli ko door karain. Ilaichi kay danay ko nikal lain aur khoob peec lain phir misri mila kar baarik karain akhir mein makhan lagain aur nosh farmain.

Pani mein bhigo kar cheelay huway badam das adad lay kar khoob barik koot lain aur josh khatay huway adh sair doodh mein miladain jab who tin josh ajain to doodh aag say utar kar thanda karain. Jab pinay kay laiq hojai to misri yak hand milalain. Lakin shahad milanay say ziyadah muqavi ban jaiga.

Yeh doodh nihayat hi khush zaiqa aur muqavi hota hai. sirf dimgh aur bah hi ko taqat nehin daita balka tamam jisam ki parwarish kartay hai.

Maghaz badam sat qdad , sonf chay masha,misri chay masha.

Sonf aur misri ko safoof banalain aur maghaz badam ko cheel kar aur nim kob karkay shamil karain. Rat ko sotay waqt garam doodh say istemal karliya karain. Magar is kay bad pani hargiz na piya karain.

Itni miqdar mein challis roz mutawatir istemal kartay rahain is say nazar is qadar tez hojati hai kay ainak ki zaroorat bari nahin rehti aur dimagh ki kamzori door hojati hai.

Yeh dawa aik mah istemal karnay say thathlapan sahrtiya door hojata hai.
Kamzori,nataqatia aur ziyadti paishab mein aksir ka hukam rakhti hai jo bahay choti umar mein talafuz ko theek tor par ada nahin karsaktay in kay liye behtarin cheez hai. niskha yeh hai.

Maghaz badam chilay huway 5 tola,waraq chandi aik tola,dar chini aik tola,magha p ista 2 tola,aksir 6 masha, shahad 15 tolay,sab adwiyat ko barik peec kar shahad mein bakhubo milalain. Khurak 4 masha say 6 masha hamrah doodh istemal karain.

Agar aap chahtay hain kay garmi kay mosam mein bhi jisam mein khoob taqat paida ho aur aap ka chehra kabli pathanon ki terha surkh hojai aur jisam mota tazah aur tandrust ho to aap yeh sadah nuskha apnay tamam kunbay ko istemal karain.
Maghaz badam chilay huway do tola,mahaz kharbuzah dor tola,maghaz kheer 2 tola,maghaz kakri do tola,maghar tarbuzz do tola,munaqa ya kishmish das tola,maghaz sonf do tola.

Yeh sab cheezain nihayat saf suthri lay kar aur kondi mein danday kay sath is qadar barik ragrain kay surma bhi ziyadah barik hojain tab in ko khulay mun kay shishay ki botal mein bharlain. Har subha 4 tola yah dawa lay kar aur is mein thora thora pani mila kar khoob achi terha kundi danday say ragrain yahan tak kay pani ka rang doodh jaisay hojai phir is mein thora sa rooh kiwra milakar aik glass pi liya karain. Yeh aik glas ka nuskha hai.

Ghar kay jitney admi hon har aik kay liye char tola dawa aur aik glass pani kay hisab say har roz khoob ragar kar sab ko piladiya karain is kay istemal say qabz bhi door hojaigi.

Bhook bhi khoob lagay gi jisam mein chusti rahay gi aur piyar bhi nahin sataigi. Aur meyadi bukhar ka bhi khatrah nahin rahay ga jo sahib doodh milana fhahain wo zaroor is mein doodh shamil karliya karain.

Mandarja bala dawa ziyadah say ziyadah miqdar mein istemal karnay say bhi kuch nuqsan nahin balkay faida hi hai is liye is nuskhay ko aap din mein kaee bar bhi istemal karsaktay hain. Lemon soda ki nisbat yeh hazar hissa behtar cheezain hain. Mafrah qalab hain.

Sozishe Jigar

Maghaz badam chilay huway das adad,ilaichi khurd das  adad, badiyan 2 masha,munaqa 5 adad, jumla adwiyat ko pani ya munasib araqiyat mein ghont kar shirah nikalin. Misri izafa karkay din mein do ya tin bar p liana muqawi dil aur dimagh hai.

Piyas ko taskin daita hai. madah aur sozish kay liya moasir aur bay had mufid hai.

Yarqan ka marz jigar mein ziyadah safra paida hokar khoon ki rangat ko zard kardaita hai mariz ki ankhain aur paishab bilkul zard hojata hai balkay marz kay dairina hojanay par nakhun aur tamam badan par bhi zardi ajati hai is liya badam nihayat mufid hai.

Baz hakeem log yarqan mein chiknaee manah kartay hain. Magar mandarja zail tariqa say badam maray tajarbay mein bay had mufid sabit hochukay hain.

Mahaz badam 8 adad,choti ilaichi 5 adad,chuharay do adad, in k ort kay waqt matti kay kuray gharay mein tamam rat para rehnay dain. Subha ko nikal kar chuharon ki ghutli aur maghaz badam o ilaichi kay chilkay door karkay kundi mein khoob ghotain aur phir misri panch tola mila dain. Phir akhir mein gai ka 5 tola makhan mila kar mariz ko chata dain. Bas tisray din hi saf paishab saf hojaiga.

Raqimul h aruf aik martaba khud is marz mein mubtala huwa to kaee aik umdah adwiyat kay kargar na honay kay ba badamon ko is tariqay par istemal karnay say sehat huee thi.


Friday, October 5, 2012

High Fiber Foods: 7 Surprising Sources






Ah, fiber. When most of us hear the word, we immediately think about the digestive benefits, and for good reason: Fiber is one of the best ways of promoting digestive health.But experts say there are plenty of other healthy reasons to like fiber -- reasons that are often overlooked.

                         
"The benefits go far beyond digestion," registered dietitian Karen Ansel, a spokesperson for the Academy of Nutrition and Dietetics and co-author of "The Calendar Diet: A Month by Month Guide to Losing Weight While Living Your Life," tells The Huffington Post.

"It can help you feel fuller, longer and it can help with diabetes," she says, adding that fiber has also been shown to regulate blood sugar and lower blood cholesterol levels.

"Fiber, in my mind, is one of the most underrated nutrients," Ansel says.
To get those benefits, the Institute of Medicine recommends individuals eat 14 grams for every 1,000 calories of food, which means most of us should be getting between 25 and 40 grams daily. But, as the National Institutes of Health reports, we tend to fall way short -- the average American gets only about 14 grams per day.
Fortunately, with just a bit of planning and know-how, it is relatively easy to work fiber into your diet. And while people often think of standbys like whole-wheat bread, greens and oatmeal, there are many other ways to work more fiber into your diet.
So without further ado, here's a list of seven more surprising (or overlooked) ways to get your daily dose of fiber. Think we left any of the list? Let us know!



Chocolate swirls

Chocolate swirls
Chocolate swirls 

Ingredients
Eggs 3 separated
Cocoa powder 1 tbsp
Milk ½ cup

Gelatin powder 2 tbsp leveled
Water ¼ cup
Chocolate essence ½ tsp
Chocolate ½ cup melted
Sugar 5 ounce
Fresh cream whipped 1 cup


Chocolate sauce for decoration